Basant bahar khil jaane par jab mann pulkit ho jaayega,
Jab khilte fulon ki numayish ye kudrat dikhalayega,
Mann ki khushi jab tumse aape main nahi reh paayegi,
Sach kehta hun priyatam tumko yaad meri tab aayegi.
Warsha ritu main jab ambar pe ghanghor ghata chhaa jaayegi,
Jab rim-jhim rim-jhim baarish dharti ki pyaas bujhayegi,
Aur barish main Bheega-Bheega sa har sama jab ho jaayega,
Sach kehta hun priyatam tumko yaad meri tab aayegi.
Jaadon ki kadake ki sardi jab watawaran main chhaa jaayegi,
Jab parwat shrankhalein barf ki safed chhadar se dhank jaayegi,
Aur jab sardi ki andheri raaton main tumhari bechaini badh jaayegi
Sach kehta hun priyatam tumko yaad meri tab aayegi.
Jab dhalega raat andhera Deepak jab jal jaayenge,
Raat pehar ki bela main jab 100 taare khil jaayenge,
Aur Chandra ki chandni dharti par jab bikhar jaayegi,
Sach kehta hun priyatam tumko yaad meri tab aayegi
Jab kirano se dharti ka kona-kona ujwal ho jaayega,
Pratah ko har pakshi jab shor machake navjeevan ka ehsaas dilayega,
Sach kehta hun priyatam tumko yaad meri tab aayegi
Tum baithi jab hogi us madhuban ke prangan main,
Jahan kabhi thi kari thitholi tumne apne priyawar se,
Jahan kabhi kiye the wade tumne jeene marne ke,
Sach kehta hun priyatam tumko yaad meri tab aayegi
Saath mera tumne jab chhoda aur mere dil ko thes pahunchayi thi,
Jab tumne mere jalne parr khushi badi manayi thi,
Uski tumko saja hai milni jab tumko mil jaayegi,
Sach kehta hun priyatam tumko yaad meri tab aayegi.