Total Pageviews

Thursday, February 11, 2010

Ek Pagli Si Ladki

Ek pagli si ladki yaaro mere jeevan main aayi thi,
aur aakar ke usne dil main pyaar ki jyot jalayi thi.

Tan komal mann chanchal aur hav-bhav main natkhatpan,
usne to jaise mujhse cheen liya tha mera mann.

Bholi Surat masti aankon main ithlakar sharmati thi,
apni in adaon se jaalim kya bataun kaisa qahar wo dhati thi.

Hota jab bhi saath main uske mera deewanapan badh jaata tha,
aur use saamne paakar ke mujhko aur koi nazar nahi aata tha.

Samajh na aata kaise usko dil ki baat bataun,
na jaane kya jaadu karke apna use banaun.

Yahi soch aur samjh main dekho itna samay tha beeta,
ke us ladki ko duje ke aakarshan ne apni aur tha kheencha.

Bas fir kya tha khatm kahani- bujh gaye pyaar ke diye deepak
aur har sapna aise tuta jaisa kachhi mitti ka ghar.

jo hua so hua tha yaaron us se koi gila na shikwa,
bas 1 dikkat hai yaaron ke uski yaad mujhe bahut aayi thi

"Ek pagli si ladki yaaron mere jeevan main aayi thi"

-Ankur

No comments:

Post a Comment