khushi main tumhe nachata hai aur gam main marham lagata hai"
par kuch dino se gyat hua ke satya nahi ye paribhasha...
satya nahi wo mitr jisne gam main dena chahi tumko aasha...
jab-jab mujhko sukh tha tab mitr sath main hote the....
door mujhse wahi bhagte jo mere sukh se jalte the...
aaj jo dukh hai aur main ekaant ko chahta hun, kisi ko na paas bulata hun.....
lekhi jwalnkhor mitr bankarke mere pass main aate hain aur sahanubhuti dikhate hain..
isi bhav se wo mere dilko bada jalate hain aur mann ko mere kudhate hain..
fir wahi ujagar hota hai ki satya nahi wo paribhasha.....
satya yahi ke mitr wahi hai jisne sukh main haath ko hai thaama...
shatru wahi jisne tum ko gum main apna hai maana!!
awesome
ReplyDelete