Total Pageviews

Sunday, October 31, 2010

Mitra

mitr ki paribhasha hai "wo sukh-dukh main sath jo deta hai,
khushi main tumhe nachata hai aur gam main marham lagata hai"
par kuch dino se gyat hua ke satya nahi ye paribhasha...
satya nahi wo mitr jisne gam main dena chahi tumko aasha...

jab-jab mujhko sukh tha tab mitr sath main hote the....
door mujhse wahi bhagte jo mere sukh se jalte the...

aaj jo dukh hai aur main ekaant ko chahta hun, kisi ko na paas bulata hun.....
lekhi jwalnkhor mitr bankarke mere pass main aate hain aur sahanubhuti dikhate hain..
isi bhav se wo mere dilko bada jalate hain aur mann ko mere kudhate hain..

fir wahi ujagar hota hai ki satya nahi wo paribhasha.....
satya yahi ke mitr wahi hai jisne sukh main haath ko hai thaama...
shatru wahi jisne tum ko gum main apna hai maana!!

Tuesday, September 14, 2010

जीवन की भागा-दौड़ी !!

जीवन की भागा-दौड़ी देखो क्या-क्या समय नहीं दिखलाती है,
कभी उंच तो कभी नीच से अवगत तुम्हें कराती है।
कल ही की तो बात है जब हम माँ की गोद में सोया करते थे,
मन चाहे तब हंसा हम करते मन चाहे तब रोया करते थे।
दादा-दादी की परी कहानी नाना-नानी के वो किस्से,
और सपनो में महल बनाना क्या खूब हसीं वो दिन थे।
छुटपन की यारी-दोस्ती में क्या बाहुबल क्या दम था,
इस अटूट रिश्ते का मोल हज़ार अशर्फियों से क्या कम था?
गली-गली हर नुक्कड़ पे घूमकर एक जश्न सा हमने मनाया था,
और ताऊ की छत पर चढ़के न जाने कितनी पतंगों को काट गिराया था।
छोटी-छोटी बातों के सांचों मियन हमने खुशियों को कैसे ढाला था,
हम क्या जाने बहुत जल्द ही ये कठोर वक़्त भी आनेवाला था।
जीवन व्यापन करने को अब हम अपनी खुशियों को पीछे छोड़ चले,
नयी रह-नए पथ-नयी नगरी को अब हम अपने से जोड़ चले।
क्या दोस्त क्या मित्र यहाँ सब नया-नया सा नज़र आता है,
हर चौराहा अब युद्ध के मैदान का आभास कराता है।
माँ की गोद में नींद वो क्या थी अब दो पल चैन से न सोने पाते हैं,
सुबह होते ही फिरसे 'जीवन की भागा-दौड़ी' में जुट जाते हैं।

Saturday, February 13, 2010

Sach kehta hun priyatam tumko yaad meri tab aayegi

Basant bahar khil jaane par jab mann pulkit ho jaayega,

Jab khilte fulon ki numayish ye kudrat dikhalayega,

Mann ki khushi jab tumse aape main nahi reh paayegi,

Sach kehta hun priyatam tumko yaad meri tab aayegi.


Warsha ritu main jab ambar pe ghanghor ghata chhaa jaayegi,

Jab rim-jhim rim-jhim baarish dharti ki pyaas bujhayegi,

Aur barish main Bheega-Bheega sa har sama jab ho jaayega,

Sach kehta hun priyatam tumko yaad meri tab aayegi.


Jaadon ki kadake ki sardi jab watawaran main chhaa jaayegi,

Jab parwat shrankhalein barf ki safed chhadar se dhank jaayegi,

Aur jab sardi ki andheri raaton main tumhari bechaini badh jaayegi

Sach kehta hun priyatam tumko yaad meri tab aayegi.


Jab dhalega raat andhera Deepak jab jal jaayenge,

Raat pehar ki bela main jab 100 taare khil jaayenge,

Aur Chandra ki chandni dharti par jab bikhar jaayegi,

Sach kehta hun priyatam tumko yaad meri tab aayegi


Nisha ke baad Surya apna naya prakash jab laayega,

Jab kirano se dharti ka kona-kona ujwal ho jaayega,

Pratah ko har pakshi jab shor machake navjeevan ka ehsaas dilayega,

Sach kehta hun priyatam tumko yaad meri tab aayegi


Tum baithi jab hogi us madhuban ke prangan main,

Jahan kabhi thi kari thitholi tumne apne priyawar se,

Jahan kabhi kiye the wade tumne jeene marne ke,

Sach kehta hun priyatam tumko yaad meri tab aayegi


Saath mera tumne jab chhoda aur mere dil ko thes pahunchayi thi,

Jab tumne mere jalne parr khushi badi manayi thi,

Uski tumko saja hai milni jab tumko mil jaayegi,

Sach kehta hun priyatam tumko yaad meri tab aayegi.

Thursday, February 11, 2010

College Life

Thandi-Thandi si Hawa chale Mitti ki khushbu saath main laaye,
sach Kehta hun aise mausam main mujhko yaad wahi din aaye,
Aakar ke hum saath mile the na socha tab purab-pashchim,
mauj main rehna muj thi karna bas yahi hota tha har din.

Class main jaake bench pe sona aur dena Prof ko pareshani,
Hamne to bas yahi socha tha ki yahan chalegi apni manmaani.
Tabhi garaj ke exams they aate aur apna quahar the barpate,
lekin na jaane hum is se kaise the bach jaate.

Ho holi Chahe diwali hum ekjut saare ho jaate,
aur ekjut hokar ke hum khushiyon ke geet the gaate.
Patiyon ka kya tha kehna sab daaru ke peg lagate,
aur daaru ki masti main hum sab talli ho jaate.

Canteen ke nukkad pe baithke gappein bahut thi karni,
aur aati jaati ladki to yaaron humko thi chhedni.
Is baat se naraaj hokarke logon ka aapas main takrana,
aur chhoti si baat ko lekar ekduje se bhid jaana.

Yahi 4 saal ki masti to har kisi ko pasand hai aati.
Tabhi to yaaron "college life" hi "best life" kehlati


Kuch Alfaaz

Aaj raat ka sama hi kuch aisa tha ke teri yaadein mujhe rulati chali gayein.
Mere is jeevan ke andhere ko aur bhi gehrati chali gayein.
Dua ki thi rab se ke yaad na aaye tere saath bitaye us meethe waqt ki,
Lekin meri ye dua hamesha ulta asar dikhati chali gayi.

Ke ab bas yaad karta hun main tumko har din..
Dino ko apni ungliyon par gin-gin..
Kaash!! tum aao aur mujhse keh jaao..
ke reh nahi sakti main "Tum Bin"

Ek Pagli Si Ladki

Ek pagli si ladki yaaro mere jeevan main aayi thi,
aur aakar ke usne dil main pyaar ki jyot jalayi thi.

Tan komal mann chanchal aur hav-bhav main natkhatpan,
usne to jaise mujhse cheen liya tha mera mann.

Bholi Surat masti aankon main ithlakar sharmati thi,
apni in adaon se jaalim kya bataun kaisa qahar wo dhati thi.

Hota jab bhi saath main uske mera deewanapan badh jaata tha,
aur use saamne paakar ke mujhko aur koi nazar nahi aata tha.

Samajh na aata kaise usko dil ki baat bataun,
na jaane kya jaadu karke apna use banaun.

Yahi soch aur samjh main dekho itna samay tha beeta,
ke us ladki ko duje ke aakarshan ne apni aur tha kheencha.

Bas fir kya tha khatm kahani- bujh gaye pyaar ke diye deepak
aur har sapna aise tuta jaisa kachhi mitti ka ghar.

jo hua so hua tha yaaron us se koi gila na shikwa,
bas 1 dikkat hai yaaron ke uski yaad mujhe bahut aayi thi

"Ek pagli si ladki yaaron mere jeevan main aayi thi"

-Ankur